Har Khushi Hai Logon Ke Daman Mein,
Par Ek Hansi Ke Liye Waqt Nahi.
Din Raat Daudti Duniya Mein,
Zindagi Ke Liye Hi Waqt Nahi.
Maa Ki Loree Ka Ehsaas To Hai,
Par Maa Ko Maa Kehne Ka Waqt Nahi.
Saare Rishton Ko To Hum Maar Chuke,
Ab Unhe Dafnane Ka Bhi Waqt Nahi.
Saare Naam Mobile Mein Hain,
Par Dosti Ke Lye Waqt Nahi.
Gairon Ki Kya Baat Karen,
Jab Apno Ke Liye Hi Waqt Nahi.
Aankhon Me Hai Neend Badee,
Par Sone Ka Waqt Nahi.
Dil Hai Ghamon Se Bhara Hua,
Par Rone Ka Bhi Waqt Nahi.
Paison Ki Daud Me Aise Daude,
Ki Thakne Ka Bhi Waqt Nahi.
Paraye Ehsason Ki Kya Kadr Karein,
Jab Apane Sapno Ke Liye Hi Waqt Nahi.
Tu Hi Bata E Zindagi,
Iss Zindagi Ka Kya Hoga,
Ki Har Pal Marne Walon Ko,
Jeene Ke Liye Bhi Waqt Nahi……
Similar Posts:
- Har Khushi Hai Logon Ke Daman Mein
- Shaher Ki Es Daud Me Daud Ke Karna Kya Hai?
- Aise Hi Nashili Nahi Teri Aankhen
- Pathar Bana Dia Mujahy Rone Nahi Diya
- Amiri Aur Garibi Ke Faasla
- Shayari on Maa Mother
- Yaar Ko Maine, Mujhe Yaar Ne Sone Na Diya
- Kaak Sooraj Se Andehro Ka Izalah Hoga
- Ek Katra Shaarab Banti Hai
- Hamara Intezar Hoga
No comments:
Post a Comment